Tuesday, April 28, 2020

Aey Ishq-e-Nabi (s.a.w.) mere dil mein bhi samaa jana

Aey Ishq-e-Nabi Mere Dil Mein Bhi Samaa Jana
ائے عشق نبی میرے دل میں بھی سما جانا
Mujh Ko Bhi Muhammad (S.A.W.) Ka Deewana Banaa Jana
مجھ کو بھی محمد کا دیوانہ بناجانا


Aey Ishq-e-Nabi (s.a.w.) mere 
dil mein bhi samaa jana
Mujh ko bhi Muhammad (s.a.w.) 
ka deewana banaa jana

Jo Rang Ke Jami Par Romi Pe Charhaya Tha
Us Rang Ki Kuch Rangat Mujh Pe Bhi Charhaa Jana

Mujh Ko Bhi Muhammad Ka Deewana Banaa Jana

Qudrat Ki Nigahein Bhi Jis Chehre Ko Taktee Thee
Us Chehra-e -Anwar Ka Deedar Karaa Jana

Mujh Ko Bhi Muhammad Ka Deewana Banaa Jana

Jis Khwab Mein Ho Jaye Deedar-e-Nabi Haasil
Aey Ishq Kabhi Mujh Ko Neend Aisi Sulaa Jana

Mujh Ko Bhi Muhammad Ka Deewana banaa Jana

Deedar-e- Muhammad Ki Hasrat To Rahe Baaki
Juz Is Ke Har Eik Hasrat Is Dil Sey Mitaa Jana

Dunia Se Niaz Ho Jab Uqba ki Taraf Janaa
Dagh-e-Gham-e-Ahmad Se Sene Ko Sajaa Jana

Mujh Ko Bhi Muhammad Ka Deewana Banaa Jana


Aey Ishq E Nabi Mere Dil Mein Bhi Samaa Jana
............................

Featured post

Comparison Among Islam , Judaism And Christianity

Islam , Judaism And Christianity *) Islam: Title of Followers : Muslims Origin : Arabia (622 CE) ( Fully Implemented) otherwise fro...